Showing posts with label shayari. Show all posts
Showing posts with label shayari. Show all posts

Monday, 24 March 2014

Koie Baat Nahi ...........


Hum Ny Kaha Koie Baat Nahi 

Hum Ko Ye Dard Bhi Milla Koie Baat Nahi 

Chalte Raha Par Kab Rukhe Hai 

Ager Thak Jaye Hum Tu Koie Baat Nahi 

Ek Muskurahat Dy Do Gy Ky Nahi

Dil Ki Muskurahat Ko Ly Lo Koie Baat Nahi 

Jazbaat Ky Mausoum Har Roz Atte Hai 

Dil Ki Bhi Sun Lo Nhi Tu Koie Baat Nahi 

Dy Gy Saath Jab Tak Dunniya May Hai

Marne Sy Phelle Rooh Bhi Tumharri Hai Koie Baat Nahi 

Hosh Nahi .....

Raat Chup Chap Hai Par Chand Khamosh Nahi, 
Kaise Kah Doon Ke Aaj Phir Hosh Nahi, 
Aisa Dooba Hoon Main Unn Nigahon Mein, 
Haath Mein Jaam Hai Par Pine Ka Hosh Nahi...

nashe mein hun .............

Thukarao yaa ab ke pyaar karo main nashe mein hun, 
Jo chaho mere yaar karo main nashe mein hun,

Aab bhi dila raha hun yakin-e-vaffa magar, 
Mera naa aitabaar karo main nashe mein hun,

Girne do tum mujhe mera saagar sambhal lo, 
Itna to mere yaar karo main nashe mein hun,

Mujhko qadam qadam pe behekane do vaaizon, 
Tum apana karobaar karo main Nashe mein hun,

Phir be-khudi mein had se guzarane laga hun, 
Itna na mujhse pyaar karo main nashe mein hun...

Mai pilaakar aapaka kya jayega .....

Mai pilaakar aapaka kya jayega, 
Jayega imaan jisaka jayega, 

                      Dekhkar mujhko vo sharma jayega, 
                    Yeh tamasha kis se dekha jayega, 

Jaaun butakhaane se ky kaabe ko main, 
Haath se ye bhi thikana jayega, 

                    Qatl ki jab usne di dhamaki mujhe, 
                    Keh diya main ne bhi dekha jayega, 

Pii bhi le do ghunt zaahid pii bhi le, 
Maikade se kaun pyaasa jayega...

chale jaayenge ..........


                            Zindagi jaam se behlane chale jaayenge 
Gham satayega to maikhane chale jaayenge, 

Tere maikhane ki ronaq hai hamare dum se saqii, 
Tu ne muh mora to deewane chale jaayenge, 

Hum samajhte hain teri aakhon ki qeemat saqii, 
De ke kuch hosh ke nazrane chale jaayenge, 

Khair hum aaj chale jaate hain pyase hi, 
kal bohat door ye afsane chale jaayenge...